gard jam jae to shisha nahin dekha jata
gard jam jaa.e to shīsha nahīñ dekhā jaatā
ya.anī tasvīr ko dhuñdlā nahīñ dekhā jaatā
tishnagī aa tujhe dariyā ke havāle kar duuñ
tujh ko is haal meñ pyāsā nahīñ dekhā jaatā
tum mirā nām-o-nasab pūchh rahe ho sab se
ishq ho jaa.e to shajara nahīñ dekhā jaatā
lauT aane kī tasallī tirī jhūTī hī sahī
ab to muḌ-muḌ ke yuuñ rasta nahīñ dekhā jaatā
sher achchhe jo bure lagte haiñ duniyā ko mire
ho ġhazal meñ tirā charchā nahīñ dekhā jaatā
log milte haiñ bichhaḌte haiñ magar kyoñ mujh se
yuuñ tirā chhoḌ ke jaanā nahīñ dekhā jaatā
izz-o-tauqīr kā ye haal hasad meñ ham se
qad kisī kā bhī ho ūñchā nahīñ dekhā jaatā
gard jam jae to shisha nahin dekha jata
yani taswir ko dhundla nahin dekha jata
tishnagi aa tujhe dariya ke hawale kar dun
tujh ko is haal mein pyasa nahin dekha jata
tum mera nam-o-nasab puchh rahe ho sab se
ishq ho jae to shajara nahin dekha jata
lauT aane ki tasalli teri jhuTi hi sahi
ab to muD-muD ke yun rasta nahin dekha jata
sher achchhe jo bure lagte hain duniya ko mere
ho ghazal mein tera charcha nahin dekha jata
log milte hain bichhaDte hain magar kyon mujh se
yun tera chhoD ke jaana nahin dekha jata
izz-o-tauqir ka ye haal hasad mein hum se
qad kisi ka bhi ho uncha nahin dekha jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.