gard mein aT rahe hain ehsasat
gard meñ aT rahe haiñ ehsāsāt
dhīme dhīme baras rahī hai raat
jal uThā ik charāġh-e-shām to kyā
bujh ga.e be-shumār imkānāt
haa.e maazī kī dil-nashīñ yādeñ
haa.e ḳhuñḳhār bheḌiyoñ kī barāt
chyūñTiyāñ jaise zehan par reñgeñ
uf ye mere latīf ehsāsāt
bhuut ban kar mujhe Darātī rahīñ
merī nā-āfrīda taḳhlīqāt
kaun aayā mire ta.āqub meñ
vahī fikr-o-ḳhayāl ke jinnāt
daf.atan kis ne qahqaha maarā
ye añdhere meñ kaun hai mire saat
sarsar-e-shab kahāñ ki pattoñ meñ
karb-e-ġham se karāhtī hai hayāt
mujh se mujh ko na chhīn kar le jaa.e
shāhzādī-e-kishvar-e-zulmāt
sub.h jaagā to yaad bhī na rahā
raat thī chāñdnī ki chāñdnī raat
tūda-e-reg o naḳhl-e-ḳhushk-e-chīnār
chhup ga.ī kis kī oT meñ barsāt
ye daraḳht-e-kuhan lisān-ul-ġhaib
aur ye shāḳh-e-ḳhushk barg-e-nabāt
kyā yahī hai 'ra.īs'-amrohvī
uḌ ke aa.e haiñ duur se zarrāt
gard mein aT rahe hain ehsasat
dhime dhime baras rahi hai raat
jal uTha ek charagh-e-sham to kya
bujh gae be-shumar imkanat
hae mazi ki dil-nashin yaaden
hae KHunKHar bheDiyon ki baraat
chyunTiyan jaise zehan par rengen
uf ye mere latif ehsasat
bhut ban kar mujhe Daraati rahin
meri na-afrida taKHliqat
kaun aaya mere taaqub mein
wahi fikr-o-KHayal ke jinnat
dafatan kis ne qahqaha mara
ye andhere mein kaun hai mere sat
sarsar-e-shab kahan ki patton mein
karb-e-gham se karahti hai hayat
mujh se mujh ko na chhin kar le jae
shahzadi-e-kishwar-e-zulmat
subh jaga to yaad bhi na raha
raat thi chandni ki chandni raat
tuda-e-reg o naKHl-e-KHushk-e-chinar
chhup gai kis ki oT mein barsat
ye daraKHt-e-kuhan lisan-ul-ghaib
aur ye shaKH-e-KHushk barg-e-nabaat
kya yahi hai 'rais'-amrohwi
uD ke aae hain dur se zarraat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.