gard ne KHema tan liya tha
gard ne ḳhema taan liyā thā
dhuup kā shīsha dhuñdlā sā thā
nikhat-o-nūr ko ruḳhsat karne
bādal duur talak aayā thā
ga.e dinoñ kī ḳhushbū pā kar
maiñ dobāra jī uTThā thā
sotī jāgtī guḌiyā ban kar
terā aks mujhe taktā thā
vaqt kā ThāTheñ mārtā sāgar
ek hī pal meñ simaT gayā thā
jañgal dariyā khet ke TukḌe
yaad nahīñ ab aage kyā thā
niil gagan se ek parinda
piilī dhartī par utrā thā
gard ne KHema tan liya tha
dhup ka shisha dhundla sa tha
nikhat-o-nur ko ruKHsat karne
baadal dur talak aaya tha
gae dinon ki KHushbu pa kar
main dobara ji uTTha tha
soti jagti guDiya ban kar
tera aks mujhe takta tha
waqt ka ThaThen marta sagar
ek hi pal mein simaT gaya tha
jangal dariya khet ke TukDe
yaad nahin ab aage kya tha
nil gagan se ek parinda
pili dharti par utra tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.