gard paDne pe bhi sarshaar hua karta tha
gard paḌne pe bhī sarshār huā kartā thā
ek raste se mujhe pyaar huā kartā thā
un dinoñ vo bhī samajhtā thā haqīqat mujh ko
un dinoñ maiñ bhī adākār huā kartā thā
un dinoñ ġham bhī ziyāda nahīñ hote the mujhe
merā kamra bhī havā-dār huā kartā thā
maiñ ki iz.hār pe sharminda nahīñ thā jab tak
ashk chehre pe numūdār huā kartā thā
tū milā hai to khulā mujh pe ajab raaz ki tū
bas mujhe hijr meñ darkār huā kartā thā
rāsta ab jo mire paañv paḌā rahtā hai
ye kabhī raah kī dīvār huā kartā thā
shahr kā shahr hī zālim kā madad-gār thā aur
shahr kā shahr azādār huā kartā thā
jis kahānī ke tasavvur se dahal jaate haiñ log
us kā maiñ markazī kirdār huā kartā thā
gard paDne pe bhi sarshaar hua karta tha
ek raste se mujhe pyar hua karta tha
un dinon wo bhi samajhta tha haqiqat mujh ko
un dinon main bhi adakar hua karta tha
un dinon gham bhi ziyaada nahin hote the mujhe
mera kamra bhi hawa-dar hua karta tha
main ki izhaar pe sharminda nahin tha jab tak
ashk chehre pe numudar hua karta tha
tu mila hai to khula mujh pe ajab raaz ki tu
bas mujhe hijr mein darkar hua karta tha
rasta ab jo mere panw paDa rahta hai
ye kabhi rah ki diwar hua karta tha
shahr ka shahr hi zalim ka madad-gar tha aur
shahr ka shahr azadar hua karta tha
jis kahani ke tasawwur se dahal jate hain log
us ka main markazi kirdar hua karta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.