gardan mein tauq panw mein zanjir dekh kar
gardan meñ tauq paañv meñ zanjīr dekh kar
hairat huī hai dost kī tasvīr dekh kar
kal raat ham ne ḳhuub sitāroñ kī sair kī
koī batā.e ḳhvāb kī ta.abīr dekh kar
ishq-o-vafā ḳhulūs se anjān haiñ vo log
rishta nibhā rahe haiñ jo jāgīr dekh kar
pal meñ badalte vaqt ne manzar badal diyā
dil ro rahā thā kal mirā kashmīr dekh kar
tum ho hamāre hāl-e-pareshāñ se be-ḳhabar
ham jī rahe haiñ aaj bhī tasvīr dekh kar
gardan mein tauq panw mein zanjir dekh kar
hairat hui hai dost ki taswir dekh kar
kal raat hum ne KHub sitaron ki sair ki
koi batae KHwab ki tabir dekh kar
ishq-o-wafa KHulus se anjaan hain wo log
rishta nibha rahe hain jo jagir dekh kar
pal mein badalte waqt ne manzar badal diya
dil ro raha tha kal mera kashmir dekh kar
tum ho hamare haal-e-pareshan se be-KHabar
hum ji rahe hain aaj bhi taswir dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.