gardish-e-ayyam hum par mehrban kuchh kam nahin
gardish-e-ayyām ham par mehrbāñ kuchh kam nahīñ
ye zamīñ hai ḳhūñ-talab to āsmāñ kuchh kam nahīñ
der tak jaagī huī āñkhoñ meñ simTī raat ko
chand ḳhvābīda charāġhoñ kā dhuāñ kuchh kam nahīñ
apne qadmoñ ke lahū se hai jo tahrīr-e-safar
vo bhī to ab kārvāñ-dar-kārvāñ kuchh kam nahīñ
mahfil-e-arbāb-e-fan meñ ehtirāman chup huuñ maiñ
varna goyā.ī meñ merī bhī zabāñ kuchh kam nahīñ
aadmī haiñ ham to hai kis baat kā itnā ġhurūr
ḳhūbiyoñ ke saath ham meñ ḳhāmiyāñ kuchh kam nahīñ
dasht-e-jāñ meñ aa.ī hai 'bebāk' ik sarkash havā
sham'-e-dil ke pesh-rau dushvāriyāñ kuchh kam nahīñ
gardish-e-ayyam hum par mehrban kuchh kam nahin
ye zamin hai KHun-talab to aasman kuchh kam nahin
der tak jagi hui aankhon mein simTi raat ko
chand KHwabida charaghon ka dhuan kuchh kam nahin
apne qadmon ke lahu se hai jo tahrir-e-safar
wo bhi to ab karwan-dar-karwan kuchh kam nahin
mahfil-e-arbab-e-fan mein ehtiraman chup hun main
warna goyai mein meri bhi zaban kuchh kam nahin
aadmi hain hum to hai kis baat ka itna ghurur
KHubiyon ke sath hum mein KHamiyan kuchh kam nahin
dasht-e-jaan mein aai hai 'bebak' ek sarkash hawa
sham'-e-dil ke pesh-rau dushwariyan kuchh kam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.