gardish-e-chashm juda gardish-e-paimana juda
gardish-e-chashm judā gardish-e-paimāna judā
mastī-e-bāda judā ālam-e-mastāna judā
lutf-e-mahfil nahīñ saaqī ke chale jaane se
mai se shīsha hai judā shīshe se paimāna judā
ek hī nuur se māmūr ye donoñ ghar haiñ
na to ka.aba hai judā aur na but-ḳhāna judā
dil tirī nazr to sar hai tirī shamshīr kī nazr
terā nazrāna judā teġh kā nazrāna judā
zāhidā 'jauhar'-e-mai-kash se tujhe kyā nisbat
terā paimāna judā us kā hai paimāna judā
gardish-e-chashm juda gardish-e-paimana juda
masti-e-baada juda aalam-e-mastana juda
lutf-e-mahfil nahin saqi ke chale jaane se
mai se shisha hai juda shishe se paimana juda
ek hi nur se mamur ye donon ghar hain
na to kaba hai juda aur na but-KHana juda
dil teri nazr to sar hai teri shamshir ki nazr
tera nazrana juda tegh ka nazrana juda
zahida 'jauhar'-e-mai-kash se tujhe kya nisbat
tera paimana juda us ka hai paimana juda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.