gardish-e-gham tamam ho ki na ho
gardish-e-ġham tamām ho ki na ho
zindagī shād-kām ho ki na ho
phir ye fursat hameñ mile na mile
phir ye rañgīn shaam ho ki na ho
ham ko hai pās-e-vaz.a-e-ahl-e-junūñ
aap ko ehtirām ho ki na ho
dekh to le nigāh-e-ulfat se
ham se tū ham-kalām ho ki na ho
zindagī meñ hī naam paidā kar
baad marne ke naam ho ki na ho
talḳhī-e-ġham hai mustaqil 'nayyar'
mastī-e-mai mudām ho ki na ho
gardish-e-gham tamam ho ki na ho
zindagi shad-kaam ho ki na ho
phir ye fursat hamein mile na mile
phir ye rangin sham ho ki na ho
hum ko hai pas-e-waza-e-ahl-e-junun
aap ko ehtiram ho ki na ho
dekh to le nigah-e-ulfat se
hum se tu ham-kalam ho ki na ho
zindagi mein hi nam paida kar
baad marne ke nam ho ki na ho
talKHi-e-gham hai mustaqil 'nayyar'
masti-e-mai mudam ho ki na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.