gardish-e-sayyargan KHub hai apni jagah
gardish-e-sayyārgāñ ḳhuub hai apnī jagah
aur ye apnā makāñ ḳhuub hai apnī jagah
ai dil-e-āshufta-sar raat añdherī hai par
raqs tirā sham.a-sāñ ḳhuub hai apnī jagah
kāġhaz-e-ātish-zada terī hikāyat hī kyā
phir bhī tamāshā-e-jāñ ḳhuub hai apnī jagah
hijr-nazhādoñ kā hai ek alag hī jahāñ
us se na milnā yahāñ ḳhuub hai apnī jagah
sair-e-bayābāñ-o-dar uqda-kushā niiz
ranj-e-masāfat miyāñ ḳhuub hai apnī jagah
chehra-e-bilqīs par aañkh Thahartī nahīñ
sub.h-e-yaman kā samāñ ḳhuub hai apnī jagah
gardish-e-sayyargan KHub hai apni jagah
aur ye apna makan KHub hai apni jagah
ai dil-e-ashufta-sar raat andheri hai par
raqs tera shama-san KHub hai apni jagah
kaghaz-e-atish-zada teri hikayat hi kya
phir bhi tamasha-e-jaan KHub hai apni jagah
hijr-nazhadon ka hai ek alag hi jahan
us se na milna yahan KHub hai apni jagah
sair-e-bayaban-o-dar uqda-kusha niz
ranj-e-masafat miyan KHub hai apni jagah
chehra-e-bilqis par aankh Thaharti nahin
subh-e-yaman ka saman KHub hai apni jagah
- Book : meyaar (Pg. 302)
- Publication : anjuman taraqqi urdu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.