gardish-e-waqt ne mara mujhko
gardish-e-vaqt ne maarā mujh ko
kaun ab degā sahārā mujh ko
merī kashtī hai havādis kā shikār
ab sadā de na kināra mujh ko
raah dushvār raushnī mādūm
hai safar phir bhī gavārā mujh ko
maiñ huuñ afsurda raat hai kaalī
kyoñ hai jiine kā ishāra mujh ko
raah dushvār hai magar 'anvar'
hai rifāqat kā sahārā mujh ko
gardish-e-waqt ne mara mujh ko
kaun ab dega sahaara mujh ko
meri kashti hai hawadis ka shikar
ab sada de na kinara mujh ko
rah dushwar raushni madum
hai safar phir bhi gawara mujh ko
main hun afsurda raat hai kali
kyon hai jine ka ishaara mujh ko
rah dushwar hai magar 'anwar'
hai rifaqat ka sahaara mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.