gardish-e-waqt phir ek taza safar mange hai
gardish-e-vaqt phir ik taaza safar māñge hai
aur mirī ḳhāna-badoshī koī ghar māñge hai
bām-e-ummīd se palTī huī nākām duā
bāryābī kā koī aur hunar māñge hai
kāsa-e-harf bhī pindār ko girvī rakh kar
kabhī ḳhil.at to kabhī la.al-o-gohar māñge hai
dil to bas aap kī rañgīn ḳhayālī meñ hai gum
aur dhaḌkan tire aane kī ḳhabar māñge hai
ik thakā haarā musāfir koī dam lene ko
būḌhe bargad se koī ek pahar māñge hai
apnī tārīkī se ḳhud raat bhī hai ḳhauf-zada
itnī vahshat hai ki ab ḳhud hī sahar māñge hai
pahle mahdūd thī dil tak hī ye vīrānī-e-jāñ
ab ye sañgīn vabā puurā nagar māñge hai
gardish-e-waqt phir ek taza safar mange hai
aur meri KHana-badoshi koi ghar mange hai
baam-e-ummid se palTi hui nakaam dua
baryabi ka koi aur hunar mange hai
kasa-e-harf bhi pindar ko girwi rakh kar
kabhi KHilat to kabhi lal-o-gohar mange hai
dil to bas aap ki rangin KHayali mein hai gum
aur dhaDkan tere aane ki KHabar mange hai
ek thaka haara musafir koi dam lene ko
buDhe bargad se koi ek pahar mange hai
apni tariki se KHud raat bhi hai KHauf-zada
itni wahshat hai ki ab KHud hi sahar mange hai
pahle mahdud thi dil tak hi ye virani-e-jaan
ab ye sangin waba pura nagar mange hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.