gardish-e-waqt tera ehsan hai
gardish-e-vaqt terā ehsāñ hai
apne aañsū haiñ apnā dāmāñ hai
chārāgar chhoḌ fikr darmāñ kī
ab mirā dard merā darmāñ hai
hote jaate haiñ rāste dushvār
raushnī har qadam gurezāñ hai
qaid haiñ log be-dar-o-dīvār
har taraf ek aisā zindāñ hai
koī batlā de nā-ḳhudāoñ ko
sāhiloñ ke qarīb tūfāñ hai
merī bālīñ pe kyā milā aa kar
zindagī maut se pashemāñ hai
ishq kā marhala bhī kyā kahiye
kitnā dushvār kitnā āsāñ hai
'sāhira' is liye pareshāñ huuñ
koī mere liye pareshāñ hai
gardish-e-waqt tera ehsan hai
apne aansu hain apna daman hai
chaaragar chhoD fikr darman ki
ab mera dard mera darman hai
hote jate hain raste dushwar
raushni har qadam gurezan hai
qaid hain log be-dar-o-diwar
har taraf ek aisa zindan hai
koi batla de na-KHudaon ko
sahilon ke qarib tufan hai
meri baalin pe kya mila aa kar
zindagi maut se pasheman hai
ishq ka marhala bhi kya kahiye
kitna dushwar kitna aasan hai
'sahira' is liye pareshan hun
koi mere liye pareshan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.