gardish-e-waqt ye kis moD pe lai mujhko
gardish-e-vaqt ye kis moḌ pe laa.ī mujh ko
apnī har saañs bhī lagtī hai parā.ī mujh ko
terī ḳhātir hī kiyā tark-e-ta'alluq jin se
dostī un se tirī aaj na bhaa.ī mujh ko
zaḳhm gahre haiñ magar uf bhī nahīñ kar saktā
achchhī lagtī nahīñ apnoñ kī burā.ī mujh ko
jab kiyā tark-e-ta'alluq kā irāda maiñ ne
terī āvāz meñ dī dil ne duhā.ī mujh ko
ruuh bechain hai itnī ki du'ā kartā huuñ
'umr kī qaid se mil jaa.e rihā.ī mujh ko
gardish-e-waqt ye kis moD pe lai mujh ko
apni har sans bhi lagti hai parai mujh ko
teri KHatir hi kiya tark-e-ta'alluq jin se
dosti un se teri aaj na bhai mujh ko
zaKHm gahre hain magar uf bhi nahin kar sakta
achchhi lagti nahin apnon ki burai mujh ko
jab kiya tark-e-ta'alluq ka irada main ne
teri aawaz mein di dil ne duhai mujh ko
ruh bechain hai itni ki du'a karta hun
'umr ki qaid se mil jae rihai mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.