gardish-e-waqt zamane ki tarah hai
gardish-e-vaqt zamāne kī tarah hai
zindagī ishq laḌāne kī tarah hai
jis kā charchā ho bahut aisī ḳhamoshī
ruuh meñ shor machāne kī tarah hai
un kī āñkhoñ meñ Thaharne kī tamannā
bistar-e-ḳhvāb sajāne kī tarah hai
apnī qismat ke sitāre kā ta.āqub
kisī rūThe ko manāne kī tarah hai
us kī aamad ḳhushī bhī ho 'suḳhan' kyā
jis kā aanā bhī na aane kī tarah hai
gardish-e-waqt zamane ki tarah hai
zindagi ishq laDane ki tarah hai
jis ka charcha ho bahut aisi KHamoshi
ruh mein shor machane ki tarah hai
un ki aankhon mein Thaharne ki tamanna
bistar-e-KHwab sajaane ki tarah hai
apni qismat ke sitare ka taaqub
kisi ruThe ko manane ki tarah hai
us ki aamad KHushi bhi ho 'suKHan' kya
jis ka aana bhi na aane ki tarah hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.