gardish mein chashm-e-dost ka paimana aagya
gardish meñ chashm-e-dost kā paimāna aagyā
liije maqām-e-sajda-e-shukrāna aa gayā
maiñ aur sharāb-e-nāb magar is ko kyā karūñ
ġham mujh ko le ke jānib-e-mai-ḳhāna aa gayā
yārā-e-zabt rah na sakā rū-ba-rū-e-dost
āñkhoñ meñ khiñch ke dard kā afsāna aa gayā
sū-e-haram chale the baḌe ehtimām se
qismat kī baat raah meñ but-ḳhāna aa gayā
sajde machal rahe haiñ jabīn-e-niyāz meñ
shāyad qarīb-tar dar-e-jānāna aa gayā
dil hai agar to dil kā dhḌaknā hai lāzmī
raushan huī jo sham.a to parvāna aa gayā
yuuñ duur ho ga.ī mirī manzil ki raah meñ
mai-ḳhāna aa gayā kabhī but-ḳhāna aa gayā
ai 'shauq' un kī bazm se shohrat milī mujhe
har samt ek shor hai dīvāna aa gayā
gardish mein chashm-e-dost ka paimana aagya
lije maqam-e-sajda-e-shukrana aa gaya
main aur sharab-e-nab magar is ko kya karun
gham mujh ko le ke jaanib-e-mai-KHana aa gaya
yara-e-zabt rah na saka ru-ba-ru-e-dost
aankhon mein khinch ke dard ka afsana aa gaya
su-e-haram chale the baDe ehtimam se
qismat ki baat rah mein but-KHana aa gaya
sajde machal rahe hain jabin-e-niyaz mein
shayad qarib-tar dar-e-jaanana aa gaya
dil hai agar to dil ka dhDakna hai lazmi
raushan hui jo shama to parwana aa gaya
yun dur ho gai meri manzil ki rah mein
mai-KHana aa gaya kabhi but-KHana aa gaya
ai 'shauq' un ki bazm se shohrat mili mujhe
har samt ek shor hai diwana aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.