gardish meñ liye phirte haiñ din-rāt mujhe bhī
darpesh haiñ tum jaise hī hālāt mujhe bhī
tum bhuul ga.e ho to koī baat nahīñ hai
ab yaad nahīñ rahtī koī baat mujhe bhī
maiñ had se ziyāda use baḌhne nahīñ detā
roke hue rakhtā hai koī haath mujhe bhī
kis lahr meñ hai ai dil-e-pur-shauq-o-tamanna
le jā.egī ye mauj tire saath mujhe bhī
simTī huī rahtī hai mire ḳhvāb kī duniyā
bikhre nazar aate haiñ ḳhayālāt mujhe bhī
jis baat pe tum aaj bahut der hañse ho
ik roz rulā.egī yahī baat mujhe bhī
gardish mein liye phirte hain din-raat mujhe bhi
darpesh hain tum jaise hi haalat mujhe bhi
tum bhul gae ho to koi baat nahin hai
ab yaad nahin rahti koi baat mujhe bhi
main had se ziyaada use baDhne nahin deta
roke hue rakhta hai koi hath mujhe bhi
kis lahr mein hai ai dil-e-pur-shauq-o-tamanna
le jaegi ye mauj tere sath mujhe bhi
simTi hui rahti hai mere KHwab ki duniya
bikhre nazar aate hain KHayalat mujhe bhi
jis baat pe tum aaj bahut der hanse ho
ek roz rulaegi yahi baat mujhe bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.