gareban-chaak majnun ban se nikla
garebāñ-chāk majnūñ ban se niklā
maiñ le kar dhajjiyāñ dāman se niklā
kahīñ jalva bhī parde meñ rahā hai
vo dekho nuur ik chilman se niklā
junūñ ne raah ye achchhī nikālī
garebāñ pahāḌ kar dāman se niklā
bahār aa.ī chaman meñ khil ga.e phuul
koī hañstā huā gulshan se niklā
ravānī ashk kī hotī nahīñ band
ajab dariyā mire dāman se niklā
ḳhizāñ aa.ī madīne ke chaman meñ
'sharaf' rotā huā gulshan se niklā
gareban-chaak majnun ban se nikla
main le kar dhajjiyan daman se nikla
kahin jalwa bhi parde mein raha hai
wo dekho nur ek chilman se nikla
junun ne rah ye achchhi nikali
gareban pahaD kar daman se nikla
bahaar aai chaman mein khil gae phul
koi hansta hua gulshan se nikla
rawani ashk ki hoti nahin band
ajab dariya mere daman se nikla
KHizan aai madine ke chaman mein
'sharaf' rota hua gulshan se nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.