gareban phaD Dale rashk se har gul-badan apna
gareban phaD Dale rashk se har gul-badan apna
Inamullah Khan Yaqeen
MORE BYInamullah Khan Yaqeen
garebāñ phaaḌ Daale rashk se har gul-badan apnā
nikālūñ ḳhaak se juuñ laala gar ḳhūnīñ-kafan apnā
lagegā haath patthar is tarah kī sa.ī-e-nāhaq se
parā.e dilbaroñ par sar na chiir ai kohkan apnā
diyā bar-bād rāz-e-ishq is chāk-e-garebāñ se
na rakkhā bū-e-gul kī tarah maiñ ne haath man apnā
hamārā jī nikal jaatā hai jab ye naujavāñ ham ko
dikhāte haiñ bhaveñ tyorī chaḌhā kar bāñkpan apnā
'yaqīñ' us ke dur-e-dandāñ kī bāteñ jo kiyā chāhe
sadaf kī tarah dho.e āb-e-gauhar se dahan apnā
gareban phaD Dale rashk se har gul-badan apna
nikalun KHak se jun lala gar KHunin-kafan apna
lagega hath patthar is tarah ki sai-e-nahaq se
parae dilbaron par sar na chir ai kohkan apna
diya bar-baad raaz-e-ishq is chaak-e-gareban se
na rakkha bu-e-gul ki tarah main ne hath man apna
hamara ji nikal jata hai jab ye naujawan hum ko
dikhate hain bhawen tyori chaDha kar bankpan apna
'yaqin' us ke dur-e-dandan ki baaten jo kiya chahe
sadaf ki tarah dhoe aab-e-gauhar se dahan apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.