gareban phaDte hain dekh KHuban-e-chaman kyun kar
gareban phaDte hain dekh KHuban-e-chaman kyun kar
Inamullah Khan Yaqeen
MORE BYInamullah Khan Yaqeen
garebāñ phāḌte haiñ dekh ḳhūbān-e-chaman kyuuñ kar
na kiije chaak nāseh is havā meñ pairahan kyuuñ kar
kare mehnat koī lazzat uThāve yaar se koī
kaho apne ta.iiñ zaa.e.a na kartā kohkan kyuuñ kar
na do ai gul-ruḳhāñ taklīf mujh ko sher-ḳhvānī kī
kaho bin fasl-e-gul koī kare dīvāna-pan kyuuñ kar
huā jaatā huuñ gaz saaya pe paḌtī hai nazar merī
terī saj dekh kar ahbāb jiite haiñ sajan kyuuñ kar
ta.ajjub saḳht rahtā hai 'yaqīñ' is baat kā mujh ko
ki itnā bolte haiñ talḳh ye shīrīñ-dahan kyuuñ kar
gareban phaDte hain dekh KHuban-e-chaman kyun kar
na kije chaak naseh is hawa mein pairahan kyun kar
kare mehnat koi lazzat uThawe yar se koi
kaho apne tain zaea na karta kohkan kyun kar
na do ai gul-ruKHan taklif mujh ko sher-KHwani ki
kaho bin fasl-e-gul koi kare diwana-pan kyun kar
hua jata hun gaz saya pe paDti hai nazar meri
teri saj dekh kar ahbab jite hain sajan kyun kar
tajjub saKHt rahta hai 'yaqin' is baat ka mujh ko
ki itna bolte hain talKH ye shirin-dahan kyun kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.