gharibon ke aangan hain sab se baDe
ġharīboñ ke āñgan haiñ sab se baḌe
ye duniyā ke gulshan haiñ sab se baḌe
baḌī muḳhtasar sī rahī baat ye
ki ham apne dushman haiñ sab se baḌe
zarā dekh jalte hue shahr ko
siyāsat ke rauzan haiñ sab se baḌe
kahāñ se chale ham kahāñ ke liye
taraqqī ke tausan haiñ sab se baḌe
ye ḳhāna-badoshī ye āvāra-pan
mohabbat meñ phislan haiñ sab se baḌe
tirā ishq ham ko tirī aarzū
ḳhushī ke ye qadġhan haiñ sab se baḌe
vo 'pūnam' kī bechain rāteñ sanam
mire saath rahzan haiñ sab se baḌe
gharibon ke aangan hain sab se baDe
ye duniya ke gulshan hain sab se baDe
baDi muKHtasar si rahi baat ye
ki hum apne dushman hain sab se baDe
zara dekh jalte hue shahr ko
siyasat ke rauzan hain sab se baDe
kahan se chale hum kahan ke liye
taraqqi ke tausan hain sab se baDe
ye KHana-badoshi ye aawara-pan
mohabbat mein phislan hain sab se baDe
tera ishq hum ko teri aarzu
KHushi ke ye qadghan hain sab se baDe
wo 'punam' ki bechain raaten sanam
mere sath rahzan hain sab se baDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.