gharibon par nuzul-e-har-bala-e-na-gahan kyon ho
gharibon par nuzul-e-har-bala-e-na-gahan kyon ho
Qazi Ghulam Mohammad
MORE BYQazi Ghulam Mohammad
ġharīboñ par nuzūl-e-har-balā-e-nā-gahāñ kyoñ ho
ye one way mustaqil traffic bhalā ai āsmāñ kyoñ ho
agar aanā huā to ek filmī giit gā.egā
mirī mayyat pe vo hasb-e-rivāyat nauha-ḳhvāñ kyoñ ho
ye kyā andāz hai yārab samajhnā jis ko mushkil hai
zarīfāna-sitam marġhūb-e-ḳhū-e-dostāñ kyoñ ho
uThā ke sar se ūñchā pahle vo mujh ko paTaḳhte haiñ
bahut hī pyaar se phir pūchhte haiñ nīm-jāñ kyoñ ho
mohabbat ko to tum ne koī tug of war samjhā hai
na khīñcho gar tum apne ko kashākash darmiyāñ kyoñ ho
use jab naql karne kī ijāzat mil ga.ī tum se
adū ko Top karnā hai to merā imtihāñ kyoñ ho
bechārā sach jahāñ se dum dabā kar kab kā bhāgā hai
ta.āqub meñ abhī tak us ke phir saarā jahāñ kyoñ ho
dam-e-guftār jo biivī se aksar maat khātā hai
sar-e-mimbar vahī vaa.iz baḌā mojiz-bayāñ kyoñ ho
ġhurūr-e-husn kī pastī hai us kā raaz ai 'qāzī'
jise bachchoñ se nafrat ho vo das bachchoñ kī maañ kyoñ ho
gharibon par nuzul-e-har-bala-e-na-gahan kyon ho
ye one way mustaqil traffic bhala ai aasman kyon ho
agar aana hua to ek filmi git gaega
meri mayyat pe wo hasb-e-riwayat nauha-KHwan kyon ho
ye kya andaz hai yarab samajhna jis ko mushkil hai
zarifana-sitam marghub-e-KHu-e-dostan kyon ho
uTha ke sar se uncha pahle wo mujh ko paTaKHte hain
bahut hi pyar se phir puchhte hain nim-jaan kyon ho
mohabbat ko to tum ne koi tug of war samjha hai
na khincho gar tum apne ko kashakash darmiyan kyon ho
use jab naql karne ki ijazat mil gai tum se
adu ko Top karna hai to mera imtihan kyon ho
bechaara sach jahan se dum daba kar kab ka bhaga hai
taaqub mein abhi tak us ke phir sara jahan kyon ho
dam-e-guftar jo biwi se aksar mat khata hai
sar-e-mimbar wahi waiz baDa mojiz-bayan kyon ho
ghurur-e-husn ki pasti hai us ka raaz ai 'qazi'
jise bachchon se nafrat ho wo das bachchon ki man kyon ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.