ghariq-e-jalwa kisi jalwa-gar ko kya dekhe
ġharīq-e-jalva kisī jalva-gar ko kyā dekhe
jo terī dhun meñ chalā rahguzar ko kyā dekhe
sahar ke saath hī sar par chaḌhā pahāḌ sā din
sar-e-ḳhamīda jamāl-e-sahar ko kyā dekhe
dabe hue haiñ makīñ bār-e-sañg-e-āhan se
ġharīb-e-shahr yahāñ bām-o-dar ko kyā dekhe
musāfiroñ kī tarah manzileñ safar meñ haiñ
kidhar ko jaa.e koī rahguzar ko kyā dekhe
lagan hai sab ko siyāsat kī dhun hai daulat kī
ab is junūñ meñ koī ḳhair-o-shar ko kyā dekhe
sukhī huuñ ghar pe lagā kar ḳhulūs kī taḳhtī
ab aa.e kaun udhar mere ghar ko kyā dekhe
na.e nisāb meñ tīr-e-nazar kā baab nahīñ
so chāragar mire zaḳhm-e-jigar ko kyā dekhe
ghariq-e-jalwa kisi jalwa-gar ko kya dekhe
jo teri dhun mein chala rahguzar ko kya dekhe
sahar ke sath hi sar par chaDha pahaD sa din
sar-e-KHamida jamal-e-sahar ko kya dekhe
dabe hue hain makin bar-e-sang-e-ahan se
gharib-e-shahr yahan baam-o-dar ko kya dekhe
musafiron ki tarah manzilen safar mein hain
kidhar ko jae koi rahguzar ko kya dekhe
lagan hai sab ko siyasat ki dhun hai daulat ki
ab is junun mein koi KHair-o-shar ko kya dekhe
sukhi hun ghar pe laga kar KHulus ki taKHti
ab aae kaun udhar mere ghar ko kya dekhe
nae nisab mein tir-e-nazar ka bab nahin
so chaaragar mere zaKHm-e-jigar ko kya dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.