garm hai ishq ka bazar chalo dekhenge
garm hai ishq kā bāzār chalo dekheñge
kaun hai apnā ḳharīdār chalo dekheñge
kaun hai qaum kā sardār chalo dekheñge
vo bhī kis kā hai talabgār chalo dekheñge
sabz bāġhoñ kī ziyārat to bahut achchhī hai
kaun hamdard hai sarkār chalo dekheñge
ham ne kaliyoñ ko jahāñ ḳhuun diyā thā pahle
kis musībat meñ hai gulzār chalo dekheñge
ham ko kal tak to rulāyā hai burī ḳhabroñ ne
aaj kyā kahtā hai aḳhbār chalo dekheñge
vaqt aane vo sabhī log bichhaḌ jā.eñge
kaun hotā hai vafādār chalo dekheñge
rāste paañv kī zanjīr bane jaate haiñ
manzileñ kitnī haiñ dushvār chalo dekheñge
apne bachchoñ ke liye dhuup meñ jhulse ham bhī
ham se kitnā hai unheñ pyaar chalo dekheñge
apne hāthoñ se tarāshā hai jise 'anjum' ne
apnī āñkhoñ se vo shahkār chalo dekheñge
garm hai ishq ka bazar chalo dekhenge
kaun hai apna KHaridar chalo dekhenge
kaun hai qaum ka sardar chalo dekhenge
wo bhi kis ka hai talabgar chalo dekhenge
sabz baghon ki ziyarat to bahut achchhi hai
kaun hamdard hai sarkar chalo dekhenge
hum ne kaliyon ko jahan KHun diya tha pahle
kis musibat mein hai gulzar chalo dekhenge
hum ko kal tak to rulaya hai buri KHabron ne
aaj kya kahta hai aKHbar chalo dekhenge
waqt aane wo sabhi log bichhaD jaenge
kaun hota hai wafadar chalo dekhenge
raste panw ki zanjir bane jate hain
manzilen kitni hain dushwar chalo dekhenge
apne bachchon ke liye dhup mein jhulse hum bhi
hum se kitna hai unhen pyar chalo dekhenge
apne hathon se tarasha hai jise 'anjum' ne
apni aankhon se wo shahkar chalo dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.