garm-o-sard ek hi rut jaise hain
garm-o-sard ek hī rut jaise haiñ
ab hamāre liye mausam kaisā
aap ko dekh ke ye jaanā hai
ḳhvāb lagtā hai mujassam kaisā
āsmānoñ pe kamandeñ Daalo
Thaan lī jaa.e to jokham kaisā
koshisheñ chhoḌ de ai chārāgar
zaḳhm nāsūr hai marham kaisā
garm-o-sard ek hi rut jaise hain
ab hamare liye mausam kaisa
aap ko dekh ke ye jaana hai
KHwab lagta hai mujassam kaisa
aasmanon pe kamanden Dalo
Than li jae to jokham kaisa
koshishen chhoD de ai chaaragar
zaKHm nasur hai marham kaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.