garm rakkhe hai abhi tak bhi ruKH-e-yar ki aanch
garm rakkhe hai abhī tak bhī ruḳh-e-yār kī aañch
vo dahaktī huī sūrat lab-o-ruḳhsār kī aañch
peT kī aag hī kyā kam thī jalāne ke liye
ghar ke ghar raakh kiye detī hai bāzār kī aañch
pahle aatī thī sabā le ke guloñ kī ḳhushbū
ab to sahrā ko jalā detī hai gulzār kī aañch
garm-joshī ke bhulāve meñ agar aa bhī ga.e
Thaharne hī nahīñ degī kisī dīvār kī aañch
vaqt se bhī na bujhī hai ye vo ātish 'ġhālib'
ruuh ko aaj bhī garmā.e hai ash.ār kī aañch
shahr jal jaate haiñ is aañch meñ dhīme dhīme
aur mahsūs nahīñ hotī hai aḳhbār kī aañch
ye jo ehsās hai duurī ko miTā detā hai
ham ko is paar lagā kartī hai us paar kī aañch
garm rakkhe hai abhi tak bhi ruKH-e-yar ki aanch
wo dahakti hui surat lab-o-ruKHsar ki aanch
peT ki aag hi kya kam thi jalane ke liye
ghar ke ghar rakh kiye deti hai bazar ki aanch
pahle aati thi saba le ke gulon ki KHushbu
ab to sahra ko jala deti hai gulzar ki aanch
garm-joshi ke bhulawe mein agar aa bhi gae
Thaharne hi nahin degi kisi diwar ki aanch
waqt se bhi na bujhi hai ye wo aatish 'ghaalib'
ruh ko aaj bhi garmae hai ashaar ki aanch
shahr jal jate hain is aanch mein dhime dhime
aur mahsus nahin hoti hai aKHbar ki aanch
ye jo ehsas hai duri ko miTa deta hai
hum ko is par laga karti hai us par ki aanch
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.