garm yaadon ki rida sard ruton ki aawaz
garm yādoñ kī ridā sard rutoñ kī āvāz
bhīgī āñkhoñ kī navā saat suroñ kī āvāz
tirchhe sūraj ne sunī sāya-darāzī kī duā
aur ūñchī huī kotāh-qadoñ kī āvāz
tab kahīñ jā ke huiiñ phir mirī jhilmil palkeñ
reza reza huī jab shīsha-garoñ kī āvāz
mere hoñToñ pe ḳhamoshī kā na katba likhnā
ghaT ke rah jā.egī āvāz-garoñ kī āvāz
thī qabīle meñ sahar-band nikaltī kaise
dā.erātī hī rahī ḳhīra-suroñ kī āvāz
garm yaadon ki rida sard ruton ki aawaz
bhigi aankhon ki nawa sat suron ki aawaz
tirchhe suraj ne suni saya-daraazi ki dua
aur unchi hui kotah-qadon ki aawaz
tab kahin ja ke huin phir meri jhilmil palken
reza reza hui jab shisha-garon ki aawaz
mere honTon pe KHamoshi ka na katba likhna
ghaT ke rah jaegi aawaz-garon ki aawaz
thi qabile mein sahar-band nikalti kaise
daeraati hi rahi KHira-suron ki aawaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.