garmi-e-hangama ghaalib go teri mahfil mein hai
garmī-e-hangāma ġhālib go tirī mahfil meñ hai
ik hujūm-e-nā-murādī ab bhī tere dil meñ hai
maqbare tārīḳh ke haiñ ye rivāyat ke khañDar
ik na.ī duniyā bhī lekin batn-e-mustaqbil meñ hai
soz-e-mahrūmī se khilte haiñ sarāboñ ke kañval
lazzat-e-be-nām sī ik sa’i-e-lā-hāsil meñ hai
phuul ban kar muskurāne kī tamannā thī kabhī
ek tūfān-e-havādis ab kalī ke dil meñ hai
zindagī roī hai sadiyoñ jabr par tahzīb ke
haa.e vo aañsū magar jo chashm-e-mustaqbil meñ hai
garmi-e-hangama ghaalib go teri mahfil mein hai
ek hujum-e-na-muradi ab bhi tere dil mein hai
maqbare tariKH ke hain ye riwayat ke khanDar
ek nai duniya bhi lekin batn-e-mustaqbil mein hai
soz-e-mahrumi se khilte hain sarabon ke kanwal
lazzat-e-be-nam si ek sa’i-e-la-hasil mein hai
phul ban kar muskurane ki tamanna thi kabhi
ek tufan-e-hawadis ab kali ke dil mein hai
zindagi roi hai sadiyon jabr par tahzib ke
hae wo aansu magar jo chashm-e-mustaqbil mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.