garmi mere kyun na ho suKHan mein
garmī mire kyuuñ na ho suḳhan meñ
ik aag sī phuñk rahī hai tan meñ
vo rashk-e-gul aa.e gar pas-az-marg
phūlā na samā.ūñ maiñ kafan meñ
hushyārī meñ kab hai aisī lazzat
jo kuchh hai mazā divāna-pan meñ
ḳhvārī kā mirī vo lutf samjhe
kāmil ho jo āshiqī ke fan meñ
gardish jinheñ misl-e-āsiyā hai
daa.im unheñ hai safar vatan meñ
nāseh maiñ rafū ko tab kahūñ aah
hālat ho jo kuchh bhī pairahan meñ
ai bād-e-ḳhizāñ vo kyā hue gul
ḳhaak uḌne lagī hai kyuuñ chaman meñ
betābi-e-dil kare hai rusvā
kyā jā.iye us kī anjuman meñ
hai tirā hī dhyān aur kuchh ab
baaqī nahīñ tere ḳhasta-tan meñ
jald us ko dikhā de shakl ai jaañ
rah jā.egī varna man kī man meñ
ghar meñ jo nahīñ vo yaar 'jur.at'
ghabrā.e hai apnī jaan tan meñ
hai jī meñ ki ḳhāna kar ke vīrāñ
jā baiThiye ik ujaaḌ ban meñ
garmi mere kyun na ho suKHan mein
ek aag si phunk rahi hai tan mein
wo rashk-e-gul aae gar pas-az-marg
phula na samaun main kafan mein
hushyari mein kab hai aisi lazzat
jo kuchh hai maza diwana-pan mein
KHwari ka meri wo lutf samjhe
kaamil ho jo aashiqi ke fan mein
gardish jinhen misl-e-asiya hai
daim unhen hai safar watan mein
naseh main rafu ko tab kahun aah
haalat ho jo kuchh bhi pairahan mein
ai baad-e-KHizan wo kya hue gul
KHak uDne lagi hai kyun chaman mein
betabi-e-dil kare hai ruswa
kya jaiye us ki anjuman mein
hai tera hi dhyan aur kuchh ab
baqi nahin tere KHasta-tan mein
jald us ko dikha de shakl ai jaan
rah jaegi warna man ki man mein
ghar mein jo nahin wo yar 'jurat'
ghabrae hai apni jaan tan mein
hai ji mein ki KHana kar ke viran
ja baiThiye ek ujaD ban mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.