Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghash bhi aaya meri pursish ko qaza bhi aai

Saqib Lakhnavi

ghash bhi aaya meri pursish ko qaza bhi aai

Saqib Lakhnavi

MORE BYSaqib Lakhnavi

    ġhash bhī aayā mirī pursish ko qazā bhī aa.ī

    be-muravvat tujhe kuchh sharm o hayā bhī aa.ī

    mausam-e-husn to thā fasl-e-jafā bhī aa.ī

    saath saath javānī adā bhī aa.ī

    dam āñkhoñ meñ aTaknā bhī mubārak na huā

    vaqt baat tum aa.e to qazā bhī aa.ī

    maiñ shab-e-vasl ye samjhā ki sahar bhī kuchh hai

    vo jo aa.e to mo.azzin sadā bhī aa.ī

    un marīzoñ ayādat ko vo ab nikle haiñ

    maut kar jinheñ miTTī meñ milā bhī aa.ī

    kar diyā soz-e-darūñ ne mujhe sham.a sar-e-bazm

    ban ga.ī dam pe agar paas havā bhī aa.ī

    kaan yuuñ un ke bhare haiñ mirī fariyādoñ ne

    naale samjhe jo koī aur sadā bhī aa.ī

    phir bhī 'sāqib' na uḌī tāla-e-ḳhufta niind

    aah kar mirī gardūñ ko hilā bhī aa.ī

    ghash bhi aaya meri pursish ko qaza bhi aai

    be-murawwat tujhe kuchh sharm o haya bhi aai

    mausam-e-husn to tha fasl-e-jafa bhi aai

    sath hi sath jawani ki ada bhi aai

    dam ka aankhon mein aTakna bhi mubarak na hua

    waqt ki baat tum aae to qaza bhi aai

    main shab-e-wasl ye samjha ki sahar bhi kuchh hai

    wo jo aae to moazzin ki sada bhi aai

    un marizon ki ayaadat ko wo ab nikle hain

    maut ja kar jinhen miTTi mein mila bhi aai

    kar diya soz-e-darun ne mujhe shama sar-e-bazm

    ban gai dam pe agar pas hawa bhi aai

    kan yun un ke bhare hain meri fariyaadon ne

    nale samjhe jo koi aur sada bhi aai

    phir bhi 'saqib' na uDi tala-e-KHufta ki nind

    aah ja kar meri gardun ko hila bhi aai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now