gasht na kar idhar-udhar be-KHabari jahan mein hai
gasht na kar idhar-udhar be-ḳhabarī jahāñ meñ hai
apne hī dil meñ ġhaur kar dekh makīñ makāñ meñ hai
raat tamām kho chukā niiñd se sair ho chukā
jaag ki ḳhuub so chukā kūs-e-ajal fuġhāñ meñ hai
kis se misāl tujh ko duuñ ġhair kahāñ jo naam luuñ
haal kahūñ to kyā kahūñ qufl-e-adab zabāñ meñ hai
paañv bahut thakā chukā shaam kā qurb aa chukā
dauḌ ki vaqt jā chukā tū pas-e-kārvāñ meñ hai
dekh kahīñ daġhā na ho jism se jaañ judā na ho
jald sambhal ḳhatā na ho tīr-e-ajal kamāñ meñ hai
manzil-e-gor tañg hai pā-e-farāġh lañg hai
tujh ko abhī umañg hai aur hī kuchh gumāñ meñ hai
tujh ko 'nasīm' kyā huā dīd-e-jahāñ se dil uThā
rañg-e-fareb jā-ba-jā har gul-e-bostāñ meñ hai
gasht na kar idhar-udhar be-KHabari jahan mein hai
apne hi dil mein ghaur kar dekh makin makan mein hai
raat tamam kho chuka nind se sair ho chuka
jag ki KHub so chuka kus-e-ajal fughan mein hai
kis se misal tujh ko dun ghair kahan jo nam lun
haal kahun to kya kahun qufl-e-adab zaban mein hai
panw bahut thaka chuka sham ka qurb aa chuka
dauD ki waqt ja chuka tu pas-e-karwan mein hai
dekh kahin dagha na ho jism se jaan juda na ho
jald sambhal KHata na ho tir-e-ajal kaman mein hai
manzil-e-gor tang hai pa-e-faragh lang hai
tujh ko abhi umang hai aur hi kuchh guman mein hai
tujh ko 'nasim' kya hua did-e-jahan se dil uTha
rang-e-fareb ja-ba-ja har gul-e-bostan mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.