ghaur karo to chehra chehra oDhe gahre gahre rang
ġhaur karo to chehra chehra oḌhe gahre gahre rañg
jag-album meñ bhare paḌe haiñ andhe gūñge bahre rañg
kal shab is dhartī par maiñ thā yā phir chāñd sitāre the
ik manzar thā tanhā maiñ aur chāroñ or sunahre rañg
terī yaad bhī dhul jā.egī is mausam kī bārish meñ
barkhā-rut meñ dīvāroñ par āḳhir kab tak Thahre rañg
vahshī kirneñ phuul badan se mahak churāne aatī haiñ
jab tak phuul ke dam meñ dam hai tanhā degā pahre rañg
puurā chāñd aur harā samundar lahroñ kā vo raqs huā
mauj mauj nashshe meñ 'rāshid' lahr lahr meñ lahre rañg
ghaur karo to chehra chehra oDhe gahre gahre rang
jag-album mein bhare paDe hain andhe gunge bahre rang
kal shab is dharti par main tha ya phir chand sitare the
ek manzar tha tanha main aur chaaron or sunahre rang
teri yaad bhi dhul jaegi is mausam ki barish mein
barkha-rut mein diwaron par aaKHir kab tak Thahre rang
wahshi kirnen phul badan se mahak churane aati hain
jab tak phul ke dam mein dam hai tanha dega pahre rang
pura chand aur hara samundar lahron ka wo raqs hua
mauj mauj nashshe mein 'rashid' lahr lahr mein lahre rang
- Book : Pakistani Adab (Pg. 468)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.