ghaur-o-fikr kam karna zindagi ke bare mein
ġhaur-o-fikr kam karnā zindagī ke baare meñ
ik yahī ishāra thā mere istiḳhāre meñ
aap kī tavajjoh kā ehtirām hai lekin
kuchh kashish bhī hotī hai TūTte sitāre meñ
kis ko itnī fursat hai koī dūsrā DhūñDe
us kā naam likh duuñ kyā us ke isti'āre meñ
sar uThātī lahroñ meñ sarkashī na ho jab tak
kaifiyat nahīñ aatī Dūbte kināre meñ
ab bhī dil dhaḌaktā hai maut ke tasavvur se
ab bhī jaan baaqī hai zindagī ke maare meñ
maiñ tumhārā jo bhī huuñ aur tum mire jo bhī
kho na jaa.e jo bhī hai is mire tumhāre meñ
chhoḌ de 'amit' ab ye chhāoñ-vāoñ meñ rahnā
tū bhī kuchh izāfa kar dhuup ke ḳhasāre meñ
ghaur-o-fikr kam karna zindagi ke bare mein
ek yahi ishaara tha mere istiKHare mein
aap ki tawajjoh ka ehtiram hai lekin
kuchh kashish bhi hoti hai TuTte sitare mein
kis ko itni fursat hai koi dusra DhunDe
us ka nam likh dun kya us ke isti'are mein
sar uThati lahron mein sarkashi na ho jab tak
kaifiyat nahin aati Dubte kinare mein
ab bhi dil dhaDakta hai maut ke tasawwur se
ab bhi jaan baqi hai zindagi ke mare mein
main tumhaara jo bhi hun aur tum mere jo bhi
kho na jae jo bhi hai is mere tumhaare mein
chhoD de 'amit' ab ye chhaon-waon mein rahna
tu bhi kuchh izafa kar dhup ke KHasare mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.