gawah-e-wasl-e-adu sar jhuka ke dekh na lo
gavāh-e-vasl-e-adū sar jhukā ke dekh na lo
ye band band judā haiñ qabā ke dekh na lo
kisī ke ishq meñ taklīf kuchh nahīñ hotī
kisī se chār-ghaḌī dil lagā ke dekh na lo
dil-o-jigar kā taḌapnā hamārī betābī
jo dekhnā hai to sūrat dikhā ke dekh na lo
hamārī aah kā kyā dekhnā jo dekhoge
vahī to baat hai jhoñke havā ke dekh na lo
agar mohabbat-e-'muztar' ke tum nahīñ qaa.il
to ek kaam karo aazmā ke dekh na lo
gawah-e-wasl-e-adu sar jhuka ke dekh na lo
ye band band juda hain qaba ke dekh na lo
kisi ke ishq mein taklif kuchh nahin hoti
kisi se chaar-ghaDi dil laga ke dekh na lo
dil-o-jigar ka taDapna hamari betabi
jo dekhna hai to surat dikha ke dekh na lo
hamari aah ka kya dekhna jo dekhoge
wahi to baat hai jhonke hawa ke dekh na lo
agar mohabbat-e-'muztar' ke tum nahin qail
to ek kaam karo aazma ke dekh na lo
- Book : Khirman (Part-1) (Pg. 304)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Javed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.