gawahi dene laga tha mere KHilaf badan
gavāhī dene lagā thā mire ḳhilāf badan
nashe meñ chhū na sakā maiñ vo pāk-sāf badan
tum us kā zikr karo to zabāñ sudhar jaa.e
vo lakhna.ū kā talaffuz vo shiin qaaf badan
maiñ sun rahā thā ḳhud apne zamīr kī āvāz
hazār kartā zarūrat kā inkishāf badan
vo sard raat ragoñ meñ lahū jamā detī
agar maiñ oḌh na letā koī lihāf badan
vo merī jild kī sūrat maḌhā huā mujh par
kasā kasā vo mire jism par ġhilāf badan
mire gunāh pe nārāz to rahā kuchh din
magar zamīr ne phir kar diyā mu'āf badan
gawahi dene laga tha mere KHilaf badan
nashe mein chhu na saka main wo pak-saf badan
tum us ka zikr karo to zaban sudhar jae
wo lakhnau ka talaffuz wo shin qaf badan
main sun raha tha KHud apne zamir ki aawaz
hazar karta zarurat ka inkishaf badan
wo sard raat ragon mein lahu jama deti
agar main oDh na leta koi lihaf badan
wo meri jild ki surat maDha hua mujh par
kasa kasa wo mere jism par ghilaf badan
mere gunah pe naraaz to raha kuchh din
magar zamir ne phir kar diya mu'af badan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.