gaya bekar aaKHir ye baras bhi
gayā bekār āḳhir ye baras bhī
mohabbat bhī adhūrī hai havas bhī
use bas sochnā aur likhte rahnā
yahīñ tak hai hamārī dastaras bhī
baḌā dā'vā hai tujh ko dilbarī kā
garajne vaale aa ik din baras bhī
darindoñ ke parindoñ ke maze haiñ
kabhī insāñ pe aa.egā taras bhī
use ik baar bas ik baar mil lo
to kam paḌ jaa.eñ dil do chaar das bhī
gaya bekar aaKHir ye baras bhi
mohabbat bhi adhuri hai hawas bhi
use bas sochna aur likhte rahna
yahin tak hai hamari dastaras bhi
baDa da'wa hai tujh ko dilbari ka
garajne wale aa ek din baras bhi
darindon ke parindon ke maze hain
kabhi insan pe aaega taras bhi
use ek bar bas ek bar mil lo
to kam paD jaen dil do chaar das bhi
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 25)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.