gaya hai jab se qarar dil ka
gayā hai jab se qarār dil kā
utar gayā sab buḳhār dil kā
gayā achānak vo haath se ab
na pūchh tū mujh se yaar dil kā
kitāb saarī bharī paḌī hai
likhā hai qissa hazār dil kā
kahāñ talak tū liye phiregā
ye bojh saarā utaar dil kā
hai kaun terā jo dard bāñTe
ġhubār saarā utaar dil kā
gaya hai jab se qarar dil ka
utar gaya sab buKHar dil ka
gaya achanak wo hath se ab
na puchh tu mujh se yar dil ka
kitab sari bhari paDi hai
likha hai qissa hazar dil ka
kahan talak tu liye phirega
ye bojh sara utar dil ka
hai kaun tera jo dard banTe
ghubar sara utar dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.