gaya jab bhi to sar-ta-pa gaya main
gayā jab bhī to sar-tā-pā gayā maiñ
jahāñ aksar nahīñ aaya gayā maiñ
havā aa jā.egī dar band kar lo
diye kī chīḳh se ghabrā gayā maiñ
jamegī kaa.ī ik muddat meñ us par
yahī kuchh soch kar rakkhā gayā maiñ
ta.āruf raushnī kā ho gayā jab
to is ke baad bulvāyā gayā maiñ
har ik rasta tire ghar kā thā rasta
ye sab kuchh dekh kar uktā gayā maiñ
dalā.el aql istidlāl ījād
magar ik ishq se Takrā gayā maiñ
jo apnī aql par nāzāñ bahut thā
use dil tak to le kar aa gayā maiñ
ibādat phir duā aur phir ibādat
ḳhudā se kis qadar māñgā gayā maiñ
vahāñ ik sabr thā be-intihā sabr
yahāñ ik dil jise taḌpā gayā maiñ
yahāñ āvāz thī hairat vahāñ thī
so ghar se chal paḌā chaltā gayā maiñ
gaya jab bhi to sar-ta-pa gaya main
jahan aksar nahin aaya gaya main
hawa aa jaegi dar band kar lo
diye ki chiKH se ghabra gaya main
jamegi kai ek muddat mein us par
yahi kuchh soch kar rakkha gaya main
taaruf raushni ka ho gaya jab
to is ke baad bulwaya gaya main
har ek rasta tere ghar ka tha rasta
ye sab kuchh dekh kar ukta gaya main
dalael aql istidlal ijad
magar ek ishq se Takra gaya main
jo apni aql par nazan bahut tha
use dil tak to le kar aa gaya main
ibaadat phir dua aur phir ibaadat
KHuda se kis qadar manga gaya main
wahan ek sabr tha be-intiha sabr
yahan ek dil jise taDpa gaya main
yahan aawaz thi hairat wahan thi
so ghar se chal paDa chalta gaya main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.