gaya nahin tha jahan se main ho ke aaya tha
gayā nahīñ thā jahāñ se maiñ ho ke aayā thā
tire ḳhayāl ne jaane kahāñ bulāyā thā
tirī talāsh meñ bhaTkā to yaad aane lagā
vo ek ghar jo tire vāste banāyā thā
maiñ ghūrtā huuñ bujhā kar diyā-salā.ī ko
ki bhūltā huuñ ise kis liye jalāyā thā
tirī ḳhamoshī udhar mas.ala banī huī thī
udāsiyoñ ne idhar bhī qadam jamāyā thā
vo raushnī jo badan se nahīñ guzartī thī
usī ne saa.e ko dīvār se lagāyā thā
vahī udāsī mire saath saath chaltī hai
tirī nazar se jo āñkhoñ meñ bhar ke laayā thā
gaya nahin tha jahan se main ho ke aaya tha
tere KHayal ne jaane kahan bulaya tha
teri talash mein bhaTka to yaad aane laga
wo ek ghar jo tere waste banaya tha
main ghurta hun bujha kar diya-salai ko
ki bhulta hun ise kis liye jalaya tha
teri KHamoshi udhar masala bani hui thi
udasiyon ne idhar bhi qadam jamaya tha
wo raushni jo badan se nahin guzarti thi
usi ne sae ko diwar se lagaya tha
wahi udasi mere sath sath chalti hai
teri nazar se jo aankhon mein bhar ke laya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.