gaya sab ranj-o-gham kunj-e-qafas ka
gaya sab ranj-o-gham kunj-e-qafas ka
Pandit Jawahar Nath Saqi
MORE BYPandit Jawahar Nath Saqi
gayā sab ranj-o-ġham kunj-e-qafas kā
tarahhum ho gayā fariyād-ras kā
rahe sābit-qadam rāh-e-vafā meñ
shikasta dil huā pā-e-havas kā
huzūrī ho ga.ī ġhībat meñ ham ko
tarannum dil meñ hai bāñg-e-jaras kā
kareñ us shoḳh se ham qat-e-ulfat
nahīñ ye kaam 'sāqī' apne bas kā
gaya sab ranj-o-gham kunj-e-qafas ka
tarahhum ho gaya fariyaad-ras ka
rahe sabit-qadam rah-e-wafa mein
shikasta dil hua pa-e-hawas ka
huzuri ho gai ghibat mein hum ko
tarannum dil mein hai bang-e-jaras ka
karen us shoKH se hum qat-e-ulfat
nahin ye kaam 'saqi' apne bas ka
- Book : Kulliyat-e-Saaqi (Pg. e-29 p-26)
- Author : Pandit Jawahar Nath Saqi
- Publication : Pandit Jawahar Nath Saqi (1926)
- Edition : 1926
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.