gaya tha bazm-e-mohabbat mein Khaali jam liye
gaya tha bazm-e-mohabbat mein Khaali jam liye
Syed Ehtisham Husain
MORE BYSyed Ehtisham Husain
gayā thā bazm-e-mohabbat meñ ḳhālī jaam liye
kaTī hai 'umr gadā.ī kā ittihām liye
kahīñ hue bhī jo raushan mohabbatoñ ke charāġh
havā.eñ dauḌ paḌīñ vahshatoñ ke daam liye
tilism-e-rāz na khul jaa.e tañg-bīnoñ par
tumhāre naam se pahle hazār naam liye
bhaTak rahā huuñ maiñ tanhā.iyoñ ke jangal meñ
hayāt raqs meñ hai husn-e-sub.h-o-shām liye
kabhī milī thī jo ik dard-e-nā-rasā kī ḳhalish
maiñ jī rahā huuñ vahī zaḳhm-e-nā-tamām liye
kisī kī yaad meñ aksar yahī huā mahsūs
falak zamīn pe utrā mah-e-tamām liye
milī hai gardish-e-ayyām har zamāne meñ
sahar umiid kī aur jāñ-kanī kī shaam liye
gaya tha bazm-e-mohabbat mein KHali jam liye
kaTi hai 'umr gadai ka ittiham liye
kahin hue bhi jo raushan mohabbaton ke charagh
hawaen dauD paDin wahshaton ke dam liye
tilism-e-raaz na khul jae tang-binon par
tumhaare nam se pahle hazar nam liye
bhaTak raha hun main tanhaiyon ke jangal mein
hayat raqs mein hai husn-e-subh-o-sham liye
kabhi mili thi jo ek dard-e-na-rasa ki KHalish
main ji raha hun wahi zaKHm-e-na-tamam liye
kisi ki yaad mein aksar yahi hua mahsus
falak zamin pe utra mah-e-tamam liye
mili hai gardish-e-ayyam har zamane mein
sahar umid ki aur jaan-kani ki sham liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.