gaya tha phul churane ka shak hamari taraf
gayā thā phuul churāne kā shak hamārī taraf
chalī thī milne ḳhud us kī mahak hamārī taraf
isī yaqīn se chalte raheñge saḌkoñ par
kabhī to aa.egī koī saḌak hamārī taraf
judā daraḳht se dīvār kar nahīñ saktī
jahāñ rahegā rakhegā lachak hamārī taraf
vo paas aatā nahīñ milne phir sisaktā hai
magar aa jaatī hai us kī sisak hamārī taraf
tujhe tire sahī anjām tak le jā.eñge
kabhī to dil ke musāfir bhaTak hamārī taraf
gaya tha phul churane ka shak hamari taraf
chali thi milne KHud us ki mahak hamari taraf
isi yaqin se chalte rahenge saDkon par
kabhi to aaegi koi saDak hamari taraf
juda daraKHt se diwar kar nahin sakti
jahan rahega rakhega lachak hamari taraf
wo pas aata nahin milne phir sisakta hai
magar aa jati hai us ki sisak hamari taraf
tujhe tere sahi anjam tak le jaenge
kabhi to dil ke musafir bhaTak hamari taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.