gaya wo daur hawaon se tang hone ka
gayā vo daur havāoñ se tañg hone kā
koī malāl nahīñ apne sañg hone kā
basā huā hai nigāhoñ meñ ek hī manzar
baḌā hī shauq thā akkās rañg hone kā
vahī jahān-e-havādis vahī khulī āñkheñ
qarīb-e-marg hai ehsās dañg hone kā
sadā-e-sāz jo bhātī hai do-ghaḌī dil kā
gumān tār-e-nafas pe hai chañg hone kā
mujhe kisī se bhī 'amjad' gila nahīñ maiñ to
talāsh kartā huuñ mauqa dabañg hone kā
khaḌe raho na muqābil har ek ke 'amjad'
ki is tarah se to ḳhatra hai jañg hone kā
gaya wo daur hawaon se tang hone ka
koi malal nahin apne sang hone ka
basa hua hai nigahon mein ek hi manzar
baDa hi shauq tha akkas rang hone ka
wahi jahan-e-hawadis wahi khuli aankhen
qarib-e-marg hai ehsas dang hone ka
sada-e-saz jo bhati hai do-ghaDi dil ka
guman tar-e-nafas pe hai chang hone ka
mujhe kisi se bhi 'amjad' gila nahin main to
talash karta hun mauqa dabang hone ka
khaDe raho na muqabil har ek ke 'amjad'
ki is tarah se to KHatra hai jang hone ka
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 209)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.