gaya wo daur to KHwabon ke silsile bhi gae
gayā vo daur to ḳhvāboñ ke silsile bhī ga.e
dil-o-nigāh ke pur-kaif hausle bhī ga.e
vahī ga.e to phir ab shikva-o-shikāyat kyā
shikāyateñ ga.iiñ shikve ga.e gile bhī ga.e
bikhar ke rah ga.ī tasvīr ārzūoñ kī
ummīd-o-ās-o-tamannā ke qāfile bhī ga.e
yahī nahīñ ki bahut sī latāfateñ rūThīñ
adā-o-nāz ke rañgīn marhale bhī ga.e
bujhe bujhe se haiñ āshāoñ ke kañval qādir
ḳharosh-e-zīst gayā dil ke valvale bhī ga.e
gaya wo daur to KHwabon ke silsile bhi gae
dil-o-nigah ke pur-kaif hausle bhi gae
wahi gae to phir ab shikwa-o-shikayat kya
shikayaten gain shikwe gae gile bhi gae
bikhar ke rah gai taswir aarzuon ki
ummid-o-as-o-tamanna ke qafile bhi gae
yahi nahin ki bahut si latafaten ruThin
ada-o-naz ke rangin marhale bhi gae
bujhe bujhe se hain aashaon ke kanwal qadir
KHarosh-e-zist gaya dil ke walwale bhi gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.