gaya wo KHwab-e-haqiqat ko ru-ba-ru kar ke
gayā vo ḳhvāb-e-haqīqat ko rū-ba-rū kar ke
bahut udaas huuñ maiñ un se guftugū kar ke
abhī na chhoḌ qabā-e-umīd kā dāman
abhī to zaḳhm chhupā chāk-e-dil rafū kar ke
karo na dafn ki maqtal kā naam ūñchā ho
liTā do ḳhaak pe lāshe ko qibla-rū kar ke
unhīñ meñ māh-sifat bhī haiñ mehr-āsā bhī
mile haiñ daaġh ka.ī un kī aarzū kar ke
uTho 'na.īm' ki bāġh-e-adam se ho aa.eñ
vahīñ ga.e haiñ 'tapish' dil ko yuuñ lahū kar ke
gaya wo KHwab-e-haqiqat ko ru-ba-ru kar ke
bahut udas hun main un se guftugu kar ke
abhi na chhoD qaba-e-umid ka daman
abhi to zaKHm chhupa chaak-e-dil rafu kar ke
karo na dafn ki maqtal ka nam uncha ho
liTa do KHak pe lashe ko qibla-ru kar ke
unhin mein mah-sifat bhi hain mehr-asa bhi
mile hain dagh kai un ki aarzu kar ke
uTho 'naim' ki bagh-e-adam se ho aaen
wahin gae hain 'tapish' dil ko yun lahu kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.