ghazab hai daur-daura ab zamane mein jahaalat ka
ġhazab hai daur-daura ab zamāne meñ jahālat kā
sabaq sīkhā nahīñ jaatā buzurgoñ kī nasīhat kā
nasab insān kā kyā hai agar aadat na ho achchhī
sharīf insāñ vahī hai jis meñ jauhar ho sharāfat kā
ġharaz kyā hai mirī taqdīr ko pūchhe jo ye mujh se
talabgār aabrū kā hai yahāñ tū yā zalālat kā
ik armāñ kam huā jab ek dushman kam huā merā
sabaq tū ne diyā ai be-umīdī mujh ko rāhat kā
saḳhī duniyā meñ ab aisā nahīñ jaisā ki hātim thā
yuuñ charchā hotā aaya hai bahut us kī saḳhāvat kā
hue ālāt jang ke is qadar ījād duniyā meñ
zamāne meñ nahīñ hai daur-daura ab shujā.at kā
adab kī mahfileñ ābād haiñ dam se hamāre hī
hamārā baaġh hai urdu adab 'bāsir' fasāhat kā
ghazab hai daur-daura ab zamane mein jahaalat ka
sabaq sikha nahin jata buzurgon ki nasihat ka
nasab insan ka kya hai agar aadat na ho achchhi
sharif insan wahi hai jis mein jauhar ho sharafat ka
gharaz kya hai meri taqdir ko puchhe jo ye mujh se
talabgar aabru ka hai yahan tu ya zalalat ka
ek arman kam hua jab ek dushman kam hua mera
sabaq tu ne diya ai be-umidi mujh ko rahat ka
saKHi duniya mein ab aisa nahin jaisa ki hatim tha
yun charcha hota aaya hai bahut us ki saKHawat ka
hue aalat jang ke is qadar ijad duniya mein
zamane mein nahin hai daur-daura ab shujaat ka
adab ki mahfilen aabaad hain dam se hamare hi
hamara bagh hai urdu adab 'basir' fasahat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.