ghazab hai ek but-e-kafir-ada ne luT liya
ghazab hai ek but-e-kafir-ada ne luT liya
Qaisar Haideri Dehlvi
MORE BYQaisar Haideri Dehlvi
ġhazab hai ik but-e-kāfir-adā ne luuT liyā
ki mujh ko banda banā kar ḳhudā ne luuT liyā
ye kis kī bazm meñ kam-baḳht le ga.iiñ nazreñ
nigāh-e-nāz ne maarā hayā ne luuT liyā
jo dil ke paas thā sarmāya-e-havās-o-ḳhirad
nazar ne chhīn liyā aur adā ne luuT liyā
vo dil ki jis ko bachāyā thā dair-o-ka.aba se
tumhāre husn-e-varā-ul-varā ne luuT liyā
nahiñ nasīb jo tāj-e-shahī ko bhī 'qaisar'
mazā vo kāsa-e-dast-e-gadā ne luuT liyā
ghazab hai ek but-e-kafir-ada ne luT liya
ki mujh ko banda bana kar KHuda ne luT liya
ye kis ki bazm mein kam-baKHt le gain nazren
nigah-e-naz ne mara haya ne luT liya
jo dil ke pas tha sarmaya-e-hawas-o-KHirad
nazar ne chhin liya aur ada ne luT liya
wo dil ki jis ko bachaya tha dair-o-kaba se
tumhaare husn-e-wara-ul-wara ne luT liya
nahin nasib jo taj-e-shahi ko bhi 'qaisar'
maza wo kasa-e-dast-e-gada ne luT liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.