ghazab hai kisi ka idhar dekh lena
ġhazab hai kisī kā idhar dekh lenā
sitam hai bachā kar nazar dekh lenā
vo chalne meñ kuchh farz sā jānte haiñ
idhar dekh lenā udhar dekh lenā
sikhā.e haiñ ye hathkañDe tum ko kis ne
jo ghar aa.e us kī kamar dekh lenā
maiñ pahchān lūñgā tumheñ roz-e-mahshar
hai kaafī mujhe ik nazar dekh lenā
jo likkhā ki aa kar dikhā jaao sūrat
to likhte haiñ kal rāt-bhar dekh lenā
kisī vaqt dekho haiñ 'gustāḳh' hāzir
qayāmat huā un kā ghar dekh lenā
ghazab hai kisi ka idhar dekh lena
sitam hai bacha kar nazar dekh lena
wo chalne mein kuchh farz sa jaante hain
idhar dekh lena udhar dekh lena
sikhae hain ye hathkanDe tum ko kis ne
jo ghar aae us ki kamar dekh lena
main pahchan lunga tumhein roz-e-mahshar
hai kafi mujhe ek nazar dekh lena
jo likkha ki aa kar dikha jao surat
to likhte hain kal raat-bhar dekh lena
kisi waqt dekho hain 'gustaKH' hazir
qayamat hua un ka ghar dekh lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.