ghazab hai wo zulfen hai ruKHsar dilkash
ġhazab hai vo zulfeñ hai ruḳhsār dilkash
bhalā kyoñ na hogā vo kirdār dilkash
guzar un ke kūche se aisā lage hai
ki jaise hai bāġhīcha gul-bār dil-kash
mohabbat hai merī mire falsafe haiñ
tumheñ jiit dilkash hameñ haar dilkash
mujhe dekhne ke hī zid pe aḌā hai
sunā hai ki jab se hai bīmār dilkash
vo ik shaḳhs kī ġhair-maujūdgī meñ
hue kab jo hoñge ye ash.ār dilkash
ab aur na satā mujh ko jaldī dikhā tū
vo manzar bache haiñ jo do-chār dilkash
tirī is razā meñ bhī lazzat nahīñ hai
hai un kī zabāñ se bhī inkār dilkash
milā ham se 'hāmid' vo jab bhī jahāñ bhī
mulāqāt hotī hai har baar dilkash
ghazab hai wo zulfen hai ruKHsar dilkash
bhala kyon na hoga wo kirdar dilkash
guzar un ke kuche se aisa lage hai
ki jaise hai baghicha gul-bar dil-kash
mohabbat hai meri mere falsafe hain
tumhein jit dilkash hamein haar dilkash
mujhe dekhne ke hi zid pe aDa hai
suna hai ki jab se hai bimar dilkash
wo ek shaKHs ki ghair-maujudgi mein
hue kab jo honge ye ashaar dilkash
ab aur na sata mujh ko jaldi dikha tu
wo manzar bache hain jo do-chaar dilkash
teri is raza mein bhi lazzat nahin hai
hai un ki zaban se bhi inkar dilkash
mila hum se 'hamid' wo jab bhi jahan bhi
mulaqat hoti hai har bar dilkash
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.