ghazab ke taish mein wo shoKH-dida aaya tha
ghazab ke taish mein wo shoKH-dida aaya tha
Pandit Jawahar Nath Saqi
MORE BYPandit Jawahar Nath Saqi
ġhazab ke taish meñ vo shoḳh-dīda aayā thā
ba-shakl-e-qahr thā ḳhanjar-kashīda aayā thā
sulūk-e-husn-e-ta.alluq bane ye hañgāma
ki har taraf se burīda ramīda aayā thā
kiyā thā shauq ne betāb diida ne muztar
vo zauq-e-lutf kā lazzat-chashīda aayā thā
vafā-misāl sarāpā niyāz bā-tamkīñ
faqīr pā-e-ba-dāman-kashīda aayā thā
huā na qurb-e-ta.alluq kā iḳhtisās yahāñ
ye rū-shanās zi-rā-e-ba.īda aayā thā
diyā na sāqī-e-ra.anā ne jām-e-kaif-e-murād
salā-e-ām kā shohrā shunīda aayā thā
ghazab ke taish mein wo shoKH-dida aaya tha
ba-shakl-e-qahr tha KHanjar-kashida aaya tha
suluk-e-husn-e-talluq bane ye hangama
ki har taraf se burida ramida aaya tha
kiya tha shauq ne betab dida ne muztar
wo zauq-e-lutf ka lazzat-chashida aaya tha
wafa-misal sarapa niyaz ba-tamkin
faqir pa-e-ba-daman-kashida aaya tha
hua na qurb-e-talluq ka iKHtisas yahan
ye ru-shanas zi-ra-e-baida aaya tha
diya na saqi-e-rana ne jam-e-kaif-e-murad
sala-e-am ka shohra shunida aaya tha
- Book : Kulliyat-e-Saaqi (Pg. e-48 p-45)
- Author : Pandit Jawahar Nath Saqi
- Publication : Pandit Jawahar Nath Saqi (1926)
- Edition : 1926
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.