gazak ki is qadar ai mast tujhko kya shitabi hai
gazak ki is qadar ai mast tujhko kya shitabi hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim
gazak kī is qadar ai mast tujh ko kyā shitābī hai
hamārā bhī dil-e-sad-laḳht dūkān-e-kabābī hai
nahīñ juz qurs mehr-o-māh kuchh gardūñ ke matbaḳh meñ
so vo bhī ek nān-e-soḳhta aur ek aabī hai
chhuḌā mashshāta zulf-e-yār ko shāne ke nīche se
ki us kī kashmakash se dil ko mere pech-o-tābī hai
badan par kuchh mire zāhir nahīñ aur dil meñ sozish hai
ḳhudā jaane ye kis ne raakh andar aag daabī hai
shikast aatī hai is meñ mauj-e-mai se dekhiyo saaqī
bachānā Thes se shīsha mire dil kā habābī hai
rahe hai kaam ham ko roz-o-shab qur.ān o masjid se
ki abrū us kī hai mehrāb aur chehrā kitābī hai
kisū ke ablaq-e-ayyām chaḌhne kā nahīñ raazī
azal se 'hātim' is tausan meñ aib-e-bad-rikābī hai
gazak ki is qadar ai mast tujh ko kya shitabi hai
hamara bhi dil-e-sad-laKHt dukan-e-kababi hai
nahin juz qurs mehr-o-mah kuchh gardun ke matbaKH mein
so wo bhi ek nan-e-soKHta aur ek aabi hai
chhuDa mashshata zulf-e-yar ko shane ke niche se
ki us ki kashmakash se dil ko mere pech-o-tabi hai
badan par kuchh mere zahir nahin aur dil mein sozish hai
KHuda jaane ye kis ne rakh andar aag dabi hai
shikast aati hai is mein mauj-e-mai se dekhiyo saqi
bachana Thes se shisha mere dil ka hababi hai
rahe hai kaam hum ko roz-o-shab quran o masjid se
ki abru us ki hai mehrab aur chehra kitabi hai
kisu ke ablaq-e-ayyam chaDhne ka nahin raazi
azal se 'hatim' is tausan mein aib-e-bad-rikabi hai
- Book : Diwan-e-Zadah (Pg. 290)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.